Saturday 27 July 2013

Shareef Logon Ki Pehchan

Shareef Logon Ki Pehchan
Shareef Logon Ki Pehchan

Roman Urdu :
Shareef Ki Pehchan Ye Hai Kay Jab Koi Uss Say Sakhti Karay To Wo Sakhti Say Paish Aata Hai Aur Jab Uss Say Koi Narmi Karay To Wo Naram Ho Jata Hai Aur Kameenay Say Jab Koi Narmi Karay To Sakhti Say Paish Aata Hai Aur Sakhti Karay To Dheela Ho Jata Hai.

Friday 26 July 2013

Islam Kay 5 Sutoon

Islam Kay 5 Sutoon
Islam Kay 5 Sutoon
Roman Urdu :
Ibn-e-Umar Nay Kaha Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Kay Islam Ka Qasar 5 Sutoonon Par Banaya Gaya Hai, Iss Baat Ki Gawahi Dena Kay Allah Kay Siwa Koi Mabood Nahi Aur Ye Kay Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Allah Kay Rusool Hain, Namaz Parhna, Zakat Dena, Hajj Karna, Ramzan Kay Rozay Rakhna.
Sahih Al-Bukhari : Jild No.1 : Hadees No. 7
Hadees Marfooh : Mukarrarat 12 : Muttafiq Alaih : 5

English Translation :
Narrated Ibn 'Umar: Allah's Apostle Said: Islam Is Based On (The Following) Five (Principles):
  1. To Testify That None Has The Right To Be Worshiped But Allah And Muhammad Is Allah's Apostle.
  2. To Offer The (Compulsory Congregational) Prayers Dutifully And Perfectly.
  3. To Pay Zakat (I.E. Obligatory Charity).
  4. To Perform Hajj. (I.E. Pilgrimage To Mecca)
  5. To Observe Fast During The Month Of Ramadan.

Thursday 25 July 2013

Hazrat Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Sakhawat


Roman Urdu :
Hazrat Ibn-e-Abbas (R.A) Say Riwayat Hai Kay Hazrat Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Sab Say Zeyada Sakhi Thay Aur Khas Taur Par Jab Ramzan May Jibraiel Alaihissalam Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Miltay To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallan Sab Logon Say Zeyada Sakhi Hotay Thay Aur Jibraeil Alaihissalam Aap Say Har Ramzan Ki Har Raat May Miltay Aur Quran Ka Daur Kartay , Nabi Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Bhalai Pohnchanay May Thandi Hawa Say Bhee Zeyada Sakhi Thay.
Sahih Al-Bukhari : Jild No.1 : Hadees No.5
Hadees Marfooh : Mukarrat 17 : Muttafiq Alaih 7

English Translation :
Narrated Ibn 'Abbas: Allah's Apostle Was The Most Generous Of All The People, And He Used To Reach The Peak In Generosity In The Month Of Ramadan When Gabriel Met Him. Gabriel Used To Meet Him Every Night Of Ramadan To Teach Him The Qur'an. Allah's Apostle Was The Most Generous Person, Even More Generous Than The Strong Uncontrollable Wind (In Readiness And Haste To Do Charitable Deeds).

Wednesday 24 July 2013

Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 4

Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 4
Sahih Al Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 4

Roman Urdu :
Hazrat Ibn-e-Abbas (R.A) Say Riwayat Hai Kay Quran Utartay Waqt Hazrat Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Mehnat Uthatay Thay Aap Apnay Dono Hont Hilatay Thay, Hazrat Ibn-e-Abbas (R.A) Nay Farmaya Mein In Dono Ko Hilata Hoon, Jis Tarah Aap Salla Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Hilatay Thay Aur Saeed Nay Bayan Kiya Kay Mein Dono Hont Hilata Hoon Jis Tarah Hazrat Ibn-e-Abbas (R.A) Ko Jun'mbish Detay Huwe Dekha, Chunanchay Allah Ta'ala Nay Surah-e-Qayamah Ki Ayat Nazil Farmai Kay Aye Muhammad Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Quran Ko Jald Yaad Karnay Kay Liye Apni Zuban Ko Na Hilao, Iska Jama Karna Aur Parhana Hamaray Zimmay Hai. Hazrat Ibn-e-Abbas (R.A) Farmatay Hain Kay Quran Ka Tumharay Seenay May Jama Kar Dena Aur Isko Tumhara Parhna, Phir Jab Ham Isko Parh Lain To Iskay Parhnay Ki Pairwee Karo, Ibn-e-Abbas (R.A) Yani Isko Suno Aur Chup Raho, Phir Yaqeenan Iska Matlab Samjha Dena Hamaray Zimmay Hai, Phir Bila Shuba Meray Zimmay Hai Kay Tum Isko Parho, Iskay Baad Jab Jibrail Alaihissalam Aap Kay Paas Aatay To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ghaur Say Suntay, Phir Jab Jibrail Alaihissalam Chlalay Jatay To, Usko Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Parhtay Jis Tarah Jibrail Alaihissalam Nay Parha Tha.
Sahih Al-Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No. 4
Hadees Marfooh, Mukarrarat : 12, Muttafiq Alaih : 8

English Translation :
Narrated Said Bin Jubair: Ibn 'Abbas In The Explanation Of The Statement Of Allah. 'Move Not Your Tongue Concerning (The Quran) To Make Haste Therewith." (75.16) Said "Allah's Apostle Used To Bear The Revelation With Great Trouble And Used To Move His Lips (Quickly) With The Inspiration." Ibn 'Abbas Moved His Lips Saying, "I Am Moving My Lips In Front Of You As Allah's Apostle Used To Move His." Said Moved His Lips Saying: "I Am Moving My Lips, As I Saw Ibn 'Abbas Moving His." Ibn 'Abbas Added, "So Allah Revealed 'Move Not Your Tongue Concerning (The Qur'an) To Make Haste Therewith. It Is For Us To Collect It And To Give You (O Muhammad) The Ability To Recite It (The Qur'an) (75.16-17) Which Means That Allah Will Make Him (The Prophet ) Remember The Portion Of The Qur'an Which Was Revealed At That Time By Heart And Recite It. The Statement Of Allah: And 'When We Have Recited It To You (O Muhammad Through Gabriel) Then You Follow Its (Qur'an) Recital' (75.18) Means 'Listen To It And Be Silent.' Then It Is For Us (Allah) To Make It Clear To You' (75.19) Means 'Then It Is (For Allah) To Make You Recite It (And Its Meaning Will Be Clear By Itself Through Your Tongue). Afterwards, Allah's Apostle Used To Listen To Gabriel Whenever He Came And After His Departure He Used To Recite It As Gabriel Had Recited It."


Monday 22 July 2013